Anjum Fauqi Badayuni

sochta rahta hun takmil-e-wafa kaise ho

Anjum Fauqi Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1911-1995
sochtā rahtā huuñ takmīl-e-vafā kaise ho
aadmī bhī vo nahīñ hai to ḳhudā kaise ho
ishq ko hausla-e-tark-e-vafā kaise ho
lafz ma.anī kī sadāqat se judā kaise ho
maiñ to pūchhūñgā ki tum sab ke ḳhudā kaise ho
merī āvāz farishtoñ kī sadā kaise ho
ek ġham ho to bikhar jaa.e mire chehre par
ġhair-mahdūd masā.ib haiñ ziyā kaise ho
sochne vāloñ kī niyyat ko ḳhudā hī jaane
baat vāloñ ko nahīñ fikr-e-vafā kaise ho
us ne majbūr-e-vafā jaan ke muñh pher liyā
mujh se ye bhuul huī pūchh liyā kaise ho
ik sulagtā huā dil tum se jalāyā na gayā
jaane tum muḳhlis-e-arbāb-e-vafā kaise ho
kis kī sūrat meñ nahīñ jalva-e-ḳhūn-e-mazdūr
ḳhūn-e-mazdūr kī qīmat bhī adā kaise ho
ishq nā-vāqif-e-ādāb-e-talab hai 'anjum'
husn āmāda-e-iz.hār-e-vafā kaise ho
Top Urdushayar.com