Iqbal Sajid

aise ghar mein rah raha hun dekh le be-shak koi

Iqbal Sajid

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1932-1988
aise ghar meñ rah rahā huuñ dekh le be-shak koī
jis ke darvāze kī qismat meñ nahīñ dastak koī
yuuñ to hone ko sabhī kuchh hai mire dil meñ magar
is dukāñ par aaj tak aayā nahīñ gāhak koī
vo ḳhudā kī khoj meñ ḳhud āḳhirī had tak gayā
ḳhud ko paane kī magar koshish na kī anthak koī
baaġh meñ kal raat phūloñ kī havelī luT ga.ī
chashm-e-shabnam se churā kar le gayā ThanDak koī
de gayā āñkhoñ ko farsh-e-rāh banñe kā sila
de gayā bīnā.ī ko sauġhāt meñ dīmak koī
ek bhī ḳhvāhish ke hāthoñ meñ na mehñdī lag sakī
mere jazboñ meñ na dūlhā ban sakā ab tak koī
vo bhī 'sājid' thā mire jazboñ kī chorī meñ sharīk
us kī jānib kyuuñ nahīñ uTThī nigāh-e-shak koī
Top Urdushayar.com