Farkhanda Rizvi

dil ka aalam bhi hua hai aalam-e-hu ki tarah

Farkhanda Rizvi

Pakistan

dil aalam bhī huā hai ālam-e-hū tarah

aañkh meñ har ghaḌī rahtā hai aañsū tarah

dil ke mausam meñ kabhī tabdīliyāñ aatī nahīñ

lagtī hai bād-e-sabā bhī kankanī tarah

ik tasavvur se tire mahkā hai merā añg añg

mire ehsās meñ bastā hai ḳhushbū tarah

saḳht kaalī raat meñ ummīd nanhā diyā

hai farozāñ dil meñ ik ma.asūm jugnū tarah

vasl aalam ki jaise hoñ shafaq lāliyāñ

hijr māhaul hai qurbat ke jaadū tarah

aa ga.ī lafzoñ meñ bhī lahje talḳhī is qadar

aap bhī us ne kahā mujh ko magar tarah

dhuup meñ baiThī thī apne baaġh meñ aur yuuñ lagā

Tahniyāñ do shajar haiñ us ke baazū tarah

guftugū ik alag munfarid andāz hai

lafz us ke bolte haiñ jaise ghuñghrū tarah

us ko bhī har vaqt rahtā hai talaffuz ḳhayāl

ishq maiñ ne bhī kiyā hai us se urdu tarah

dekhte dekhte 'ḳhanda' guzar jā.egī umr

vaqt hāthoñ se nikal jā.egā jugnū tarah

Top Urdushayar.com