shahr  se  jab  bhī  koī  shahr  judā  hotā  hai
har  taraf  naqshe  pe  kohrām  bapā  hotā  hai
roz  ik  baaġh  guzartā  hai  isī  raste  se
roz  kashkol  meñ  ik  phuul  dharā  hotā  hai
zaḳhm  aur  peḌ  ne  ik  saath  duā  māñgī  hai
dekhiye  pahle  yahāñ  kaun  harā  hotā  hai
ek  duuje  ko  kabhī  jaan  nahīñ  paa.e  ham
maiñ  nayā  hotā  huuñ  yā  ḳhvāb  nayā  hotā  hai
maiñ  sunā  aayā  huuñ  kal  raat  use  apnī  kathā
jaane  ab  yaar  kī  dīvār  kā  kyā  hotā  hai