ye  kār-e-ḳhair  hai  is  ko  na  kār-e-bad  samho
mujhe  tabāh  karo  aur  ise  madad  samho
maiñ  is  kahānī  meñ  tarmīm  kar  ke  laayā  huuñ
jo  tum  ko  pahle  sunā.ī  thī  mustarad  samho
mujhe  ḳhudā  se  nahīñ  hai  koī  gila  lekin
tum  aadmī  ho  to  phir  aadmī  kī  had  samho
ye  sirf  peḌ  nahīñ  hai  sadī  kā  qissa  hai
ye  jo  bhī  baat  kare  us  ko  mustanad  samho
yahāñ  kisī  ne  bhī  ā.indagāñ  nahīñ  dekhe
so  jo  guzār  chuke  ho  vahī  abad  samho