Abdul Wahab yakro

tera hi main gada hun mera tu shah bas hai

Abdul Wahab yakro

terā maiñ gadā huuñ merā shaah bas hai

mujh shab raushnī kuuñ tujh ruḳh maah bas hai

surma se gard-e-mizhgāñ saf bāñdh ke biThī haiñ

shāh-e-nayan kuuñ terī qibla-gāh bas hai

dil shikastagī suuñ paayā huuñ bādshāhī

karne kuuñ sarvarī ke aisī kulāh bas hai

mahshar ke ḳhur tap siiñ kuchh Dar nahīñ haman kuuñ

zulf-e-siyah saaya dil panāh bas hai

do nahīñ hai jag meñ maujūd juz ḳhudā ke

is baat shahādat ik lā-ilāh bas hai

'yakrū' huā hai paanī sun 'ābrū' misra.a

''rakhne ko yūsufāñ ke ik dil chaah bas hai''

Top Urdushayar.com