Tasneem Abidi

ek sannaTa sa taqrir mein rakkha gaya tha

Tasneem Abidi

ek sannāTā sā taqrīr meñ rakkhā gayā thā
ḳhvāb hī ḳhvāb kī ta.abīr meñ rakhā gayā thā
āgahī roz Darātī rahī manzil se magar
hausla paañv kī zanjīr meñ rakkhā gayā thā
kaun bismil thā batā hī nahīñ saktā koī
zaḳhm-e-dil sīna-e-shamshīr meñ rakkhā gayā thā
sāz-o-āvāz ke milne se asar hone lagā
terā lahja mirī tahrīr meñ rakkhā gayā thā
dāman-e-husn-e-talab zaḳhm kī daulat ke sivā
dard bhī ishq kī jāgīr meñ rakkhā gayā thā
ek manzar meñ ḳhalā pur kiyā tanhā.ī ne
merā chehra vahīñ tasvīr meñ rakkhā gayā thā
ḳhud-parastī se bachātā rahā ham-zād mirā
aa.ina nusḳha-e-iksīr meñ rakkhā gayā thā
zindagī maut ke pahlū meñ numū paatī rahī
ik ḳharāba yahāñ ta.amīr meñ rakkhā gayā thā
Top Urdushayar.com