jaane  kis  sāniha-e-dard  ke  ġhammāz  rahe
ahd-dar-ahd  bikhartī  huī  āvāz  rahe
gum  huī  jaatī  hai  tārīk  ḳhalāoñ  meñ  nazar
is  ghaḌī  mere  sirhāne  mirā  dam-sāz  rahe
apnī  pahchān  hī  kho  baiThe  haiñ  rafta  rafta
apne  hī  aap  se  kitne  nazar-andāz  rahe
nā-rasā.ī  kā  ye  dukh  bhī  to  mukammal  na  huā
ham  tire  rabt  meñ  āġhāz  hī  āġhāz  rahe
aa  ke  vāpas  na  gayā  koī  havā  kā  jhoñkā
TūTte  lamhoñ  meñ  ehsās  ke  dar  baaz  rahe