yuuñ  nikaltī  hai  mirī  baat  dahan  se  us  ke
jaise  barsoñ  kā  ta.āruf  ho  badan  se  us  ke
yuuñ  sar-e-bazm  milā  TuuT  ke  ik  umr  pe  vo
ham  bhī  ghabrā  ga.e  be-sāḳhta-pan  se  us  ke
us  kā  lahja  hai  ki  bahtī  huī  naġhmoñ  kī  nadī
jaise  ilhām  kī  bārish  ho  suḳhan  se  us  ke
us  se  mil  ke  bhī  ḳhalā  ab  bhī  vahī  ruuh  meñ  hai
mutma.in  dil  bhī  nahīñ  sarv-o-saman  se  us  ke
ḳhilqat-e-shahr  ne  afsāne  tarāshe  kyā  kyā
dil  tahī-dast  hī  lauTā  hai  chaman  se  us  ke
is  tarah  shahr  salīboñ  se  sajāyā  us  ne
koī  mahfūz  nahīñ  dār-o-rasan  se  us  ke
dekhnā  kis  ke  lahū  se  hai  charāġhāñ  maqtal
ek  ugtā  huā  sūraj  hai  kafan  se  us  ke