apne  lafzoñ  meñ  ki  har  chand  ayaañ  huuñ  maiñ  bhī
ban  ke  zaḳhmoñ  kī  kasak  ḳhud  meñ  nihāñ  huuñ  maiñ  bhī
tere  āġhāz  se  anjām  hai  raushan  merā
barg-e-āvāra  koī  ḳhāk-e-ravāñ  huuñ  maiñ  bhī
mo'tabar  ab  to  banā  ai  nigah-e-nāz  mujhe
is  bhare  shahr  meñ  benām-o-nishāñ  huuñ  maiñ  bhī
vaz.a-dārī  kā  ḳharīdār  kahīñ  se  laao
apnī  tahzīb  kī  uThtī  sī  dukāñ  huuñ  maiñ  bhī
tere  ḳhvāboñ  se  hai  ābād  ḳharāba  merā
terī  yādoñ  meñ  karāñ-tā-ba-karāñ  huuñ  maiñ  bhī