nahīñ  ye  zid  ki  har  ik  dard  tū  mirā  le  jā
jo  ho  sake  to  ye  barsoñ  kā  rat-jagā  le  jā
tirā  to  kyā  ki  ḳhud  apnā  bhī  maiñ  kabhī  na  rahā
mire  ḳhayāl  se  ḳhvāboñ  kā  silsila  le  jā
kisī  ne  duur  bahut  duur  se  pukārā  phir
diloñ  kī  qurbateñ  āñkhoñ  kā  fāsla  le  jā
nikal  gayā  huuñ  bahut  apnī  zaat  se  aage
tū  mujh  se  mere  bichhaḌne  kā  sāneha  le  jā
maiñ  ḳhud  hī  apne  ta.āqub  meñ  phir  rahā  huuñ  abhī
uThā  ke  tū  merī  rāhoñ  se  rāstā  le  jā
ajiib  zahr  ravāñ  hai  lahū  kī  gardish  meñ
kabhī  to  sholagi-e-jāñ  kā  zā.iqa  le  jā
amīr-e-shahr  mujhe  hurmat-e-hunar  hai  bahut
ye  apnā  turra-e-dastār  ye  qabā  le  jā