ġham-qirtās  pe  apne  karb  kī  bāteñ  likhte  rahnā
hijr-kitāb  ko  paḌhte  rahnā  sharheñ  likhte  rahnā
phir  yuuñ  hogā  ik  gum-gashta  chehrā  sāmne  hogā
ḳhvāboñ  kī  dīvār  banānā  āñhkeñ  likhte  rahnā
itnā  karnā  apnī  soch  kī  aan  na  bikne  detā
din  kī  din  hī  aur  rātoñ  ko  rāteñ  likhte  rahnā
aisā  vaqt  na  aane  denā  sūkheñ  soch-samundar
lahroñ  se  āvāz  milānā  maujeñ  likhte  rahnā
bāhar  ke  is  shor  meñ  terī  bāteñ  dab  jaa.eñ  to
andar  se  jo  aatī  haiñ  āvāzeñ  likhte  rahnā
'tāhir'!  un  be-bas  lamhoñ  kā  ahd  nibhānā  hogā
us  ne  kahā  thā  ḳhat  mat  likhnā  ġhazleñ  likhte  rahnā