havā  meñ  nauhe  ghule  durd  mish.aloñ  meñ  rahā
bahut  ajiib  sā  dukh  thā  ki  bastiyoñ  meñ  rahā
tamām  peḌ  the  sāhil  pe  aag  kī  zad  meñ
mire  qabīle  kā  har  fard  pāniyoñ  meñ  rahā
bahut  dilāse  diye  ham  ne  shab-gazīda  ko
magar  vo  shaḳhs  ki  din  meñ  bhī  vasvasoñ  meñ  rahā
vahī  thā  āḳhirī  nuqta  mirī  lakīroñ  kā
har  ek  qaus  meñ  vo  saare  zāviyoñ  meñ  rahā
ye  jānte  bhī  ki  saarā  safar  ḳhalā  kā  hai
balā  kā  hausla  TuuTe  hue  paroñ  meñ  rahā
bharī  bahār  hare  ḳhvāb  ke  gulāb  liye
tamām  umr  maiñ  ujḌī  huī  rutoñ  meñ  rahā
qarīb  aa.e  to  sūraj  bhī  bujh  ga.e  'qayyūm'
siyāh  barf  kī  sūrat  lahū  ragoñ  meñ  rahā