har  ek  rañg  har  ik  ḳhvāb  ke  hisār  meñ  tū
ki  āñsuoñ  kī  tarah  chashm-e-intizār  meñ  tū
udaas  raakh  se  manzar  ke  ek  shahr  meñ  maiñ
na.e  jahān  kī  ik  sub.h-e-zar-nigār  maiñ  tū
meñ  itne  duur  ufuq  se  pare  bhī  dekh  aayā
milā  to  jism  par  bikhre  hue  ġhubār  meñ  tū
meñ  zaḳhm  zaḳhm  ḳhizāoñ  ke  biich  zinda  huuñ
numū-pazīr  bahāroñ  ke  rañg-zār  meñ  tū
ki  terā  naam  to  jalte  diyoñ  kī  lau  meñ  hai
tū  bāñsurī  kī  har  ik  taan  meñ  pukār  meñ  tū
ye  rahguzar  to  tamāzat  ke  shahr  ko  jaa.e
kahīñ  jale  na  bahishtoñ  ke  e'tibār  meñ  tū
mujhe  bachā  le  ta.āqub  se  zard  mausam  ke
mujhe  chhupā  le  panāhoñ  ke  sabz  ġhaar  meñ  tū