Qayyum Tahir

aawazon ki dhund se Darta rahta hun

Qayyum Tahir

1952
āvāzoñ kī dhund se Dartā rahtā huuñ
tanhā.ī meñ chup ko oḌh ke baiThā huuñ
apnī ḳhvāhish apnī soch ke biij liye
ik an-dekhī ḳhvāb-zamīñ ko DhūñDhtā huuñ
sāmne rakh kar ga.e dinoñ kā ā.īna
apne dhuñdle mustaqbil ko dekhtā huuñ
sāhil sāhil bhīgī ret pe chaltā thā
sahrāoñ meñ Tāñgeñ toḌ ke baiThā huuñ
merī saarī samteñ raat ke ghere meñ
maiñ sub.hoñ kī zaḳhmī aañkh kā sapnā huuñ
ab to sūraj oḌh ke baiThūñgā 'qayyūm'
maiñ ik ThanDe yaḳh dariyā se guzrā huuñ
Top Urdushayar.com