āvāzoñ  kī  dhund  se  Dartā  rahtā  huuñ
tanhā.ī  meñ  chup  ko  oḌh  ke  baiThā  huuñ
apnī  ḳhvāhish  apnī  soch  ke  biij  liye
ik  an-dekhī  ḳhvāb-zamīñ  ko  DhūñDhtā  huuñ
sāmne  rakh  kar  ga.e  dinoñ  kā  ā.īna
apne  dhuñdle  mustaqbil  ko  dekhtā  huuñ
sāhil  sāhil  bhīgī  ret  pe  chaltā  thā
sahrāoñ  meñ  Tāñgeñ  toḌ  ke  baiThā  huuñ
merī  saarī  samteñ  raat  ke  ghere  meñ
maiñ  sub.hoñ  kī  zaḳhmī  aañkh  kā  sapnā  huuñ
ab  to  sūraj  oḌh  ke  baiThūñgā  'qayyūm'
maiñ  ik  ThanDe  yaḳh  dariyā  se  guzrā  huuñ