dikhā.e  gard  ke  ḳheme  pa  ghar  nahīñ  likkhā
safar  to  sauñp  gayā  vo  shajar  nahīñ  likkhā
vo  āshnā  mujhe  paanī  se  kar  ke  lauT  gayā
kisī  bhī  lahr  meñ  jis  ne  guhar  nahīñ  likkhā
bashārateñ  thiiñ  ki  poroñ  kī  samt  aatī  thiiñ
magar  ye  haath  ki  jin  meñ  hunar  nahīñ  likkhā
ajab  gumān  the  qaus-e-nigāh  meñ  us  kī
khañDar  se  shahr  ko  is  ne  khañDar  nahīñ  likkhā
har  ek  rut  kī  duā  bhī  havā  bhī  aa.ī  thī
ye  bāñjh  peḌ  ki  in  par  samar  nahīñ  likkhā
us  ek  lafz  kī  siskī  mujhe  rulātī  hai
vo  ek  lafz  jise  jaan  kar  nahīñ  likkhā