Indira Varma

kabhi muD ke phir isi rah par na to aae tum na to aae hum

Indira Varma

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1940
kabhī muḌ ke phir isī raah par na to aa.e tum na to aa.e ham
kabhī fāsloñ ko sameT kar na to aa.e tum na to aa.e ham
jo tumheñ hai apnī anā pasand to mujhe bhī shart kā paas hai
ye zidoñ ke silsile toḌ kar na to aa.e tum na to aa.e ham
unhīñ chāhatoñ meñ bañdhe hue abhī tum bhī ho abhī ham bhī haiñ
hai kashish diloñ meñ bahut magar na to aa.e tum na to aa.e ham
shab-e-vasl bhī shab-e-hijr hai shab-e-hijr ab to hai mustaqil
yahī sochne meñ huī sahar na to aa.e tum na to aa.e ham
vo jharoke pardoñ meñ band haiñ vo tamām galiyāñ udaas haiñ
kabhī ḳhvāb meñ sar-e-rahguzar na to aa.e tum na to aa.e ham
usī shahr kī usī raah par the hamāre ghar bhī qarīb-tar
yūñhī ghūmte rahe umr bhar na to aa.e tum na to aa.e ham
kabhī ittifāq se mil ga.e kisī shahr ke kisī moḌ par
to ye kah uThegī nazar nazar kyuuñ na aa.e tum kyuuñ na aa.e ham
Top Urdushayar.com