hazār  ḳhvāb  liye  jī  rahī  haiñ  sab  āñkheñ
tire  binā  haiñ  magar  merī  be-sabab  āñkheñ
chamakte  chāñd  sitāro  gavāh  tum  rahnā
lagī  rahī  haiñ  falak  se  tamām  shab  āñkheñ
tumhāre  sāmne  rahtī  haiñ  nīm-vā  hamdam
Hayā-shanās  bahut  haiñ  ye  bā-adab  āñkheñ
bas  ek  diid  kī  hasrat  sajā  ke  palkoñ  par
mileñgī  tum  se  ḳhayāloñ  meñ  be-talab  āñkheñ
sila  diyā  hai  mohabbat  kā  tum  ne  ye  kaisā
masarratoñ  meñ  bhī  rone  lagī  haiñ  ab  āñkheñ