dil  se  apne  ḳhud-ba-ḳhud  kuchh  pūchhiye  mere  liye
faisla  ab  kījiye  yā  sochiye  mere  liye
fikr-e-duniyā  se  na  jaane  aap  kyuuñ  haiñ  ashk-bār
in  musalsal  āñsuoñ  ko  rokiye  mere  liye
maiñ  to  kab  se  muntazir  huuñ  aap  ke  ehsān  kī
dard  kā  aahoñ  se  saudā  kījiye  mere  liye
aap  kā  lahja  shahad  jaisā  tarannum-ḳhez  hai
ḳhāmushī  ab  toḌiye  aur  boliye  mere  liye
aap  ko  sab  log  kahte  haiñ  masīhā  ai  sanam
zindagī  mujh  ko  bhī  de  kar  dekhiye  mere  liye