roz  dekhā  hai  shafaq  se  vo  pighaltā  sonā
roz  sochā  hai  ki  tum  mere  ho  mere  ho  nā
maiñ  to  ik  kāñch  ke  dariyā  meñ  bahī  jaatī  huuñ
khankhanāte  hue  hamrāz  mujhe  sun  lo  nā
maiñ  ne  kānoñ  meñ  pahan  lī  hai  tumhārī  āvāz
ab  mire  vāste  be-kār  haiñ  chāñdī  sonā
merī  ḳhāmoshī  ko  chupke  se  sajā  do  aa  kar
ik  ġhazal  tum  bhī  mire  naam  kabhī  likkho  nā
ruuh  meñ  giit  utar  jaate  haiñ  jaise  ḳhushbū
gungunātī  sī  koī  shaam  mujhe  bhejo  nā
chāñdnī  os  ke  qatroñ  meñ  simaT  jā.egī
tīrgī  sub.h  savere  meñ  kahīñ  kho  do  nā
phir  se  āñkhoñ  meñ  koī  rañg  sajā  luuñ  'naināñ'
kab  se  ḳhvāboñ  ko  yahāñ  bhuul  ga.ī  thī  bonā