Iqbal Sajid

wo dost tha to usi ko adu bhi hona tha

Iqbal Sajid

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1932-1988
vo dost thā to usī ko adū bhī honā thā
lahū pahan ke mujhe surḳh-rū bhī honā thā
sunahrī haath meñ taaza lahū kī fasl na dī
ki apne haq ke liye jañg-jū bhī honā thā
bagūla ban ke samundar meñ ḳhaak uḌānā thī
ki lahar lahar mujhe tund-ḳhū bhī honā thā
mire hī harf dikhāte the merī shakl mujhe
ye ishtihār mire rū-ba-rū bhī honā thā
kashish thī phuul sī is meñ to lā-muhāla mujhe
asīr-e-rañg giraftār-e-bū bhī honā thā
sazā to milnā thī mujh ko barahna lafzoñ kī
zabāñ ke saath laboñ ko rafū bhī honā thā
safar kā bojh uThāne se peshtar 'sājid'
mizāj-dān-e-rah-e-justujū bhī honā thā
Top Urdushayar.com