Farzana Nainan

meri KHamushi mein bhi eajaz aae

Farzana Nainan

mirī ḳhāmushī meñ bhī e.ajāz aa.e
kahīñ se koī mujh ko āvāz aa.e
vo chehra na jaane kahāñ kho gayā hai
vo jis se lahū meñ tag-o-tāz aa.e
nikālā kisī ne na patthar se bāhar
mire shahr meñ roz but-sāz aa.e
uḌe niilī niilī ragoñ se nikal kar
mire dard meñ zauq-e-parvāz aa.e
sazā be-gunāhī kī maiñ kāTtī huuñ
mujhe zindagī ke na andāz aa.e
mohabbat ai dīvānī pāgal mohabbat
hameñ chhoḌ de dekh ham baaz aa.e
mirī tishna-kāmī savālī hai jis kī
kabhī to vo 'naināñ' ba-sad-nāz aa.e
Top Urdushayar.com