misāl-e-barg  maiñ  ḳhud  ko  uḌānā  chāhtī  huuñ
havā-e-tund  pe  maskan  banānā  chāhtī  huuñ
vo  jin  kī  āñkhoñ  meñ  hotā  hai  zindagī  meñ  malāl
usī  qabīle  se  ḳhud  ko  milānā  chāhtī  huuñ
jahāñ  ke  band  haiñ  sadiyoñ  se  mujh  pe  darvāze
maiñ  ek  baar  usī  ghar  meñ  jaanā  chāhtī  huuñ
sitam-shi.ār  kī  chaukhaT  pe  adl  kī  zanjīr
barā-e-dād-rasī  ab  hilānā  chāhtī  huuñ
na-jāne  kaise  guzārūñgī  hijr  kī  saa.at
ghaḌī  ko  toḌ  ke  sab  bhuul  jaanā  chāhtī  huuñ
masāfatoñ  ko  mile  manzil-e-talab  'naināñ'
vafā  kī  raah  meñ  apnā  Thikāna  chāhtī  huuñ