Farzana Nainan

dard ki nili ragen yaadon mein jalne ke sabab

Farzana Nainan

dard kī niilī rageñ yādoñ meñ jalne ke sabab
saarī chīḳheñ rok letī haiñ sambhalne ke sabab
dard kī niilī rageñ to shor kartī haiñ bahut
paikar-e-nāzuk meñ is dil ke machalne ke sabab
dard kī niilī rageñ barfāb bistar meñ paḌī
TuuT jaatī haiñ tire ḳhvāboñ meñ chalne ke sabab
dard kī niilī rageñ umroñ ke niile pher ko
zard kartī jaatī haiñ sahrā meñ palne ke sabab
dard kī niilī rageñ hāthoñ meñ do-shīzāoñ ke
chūḌiyāñ tak toḌ detī haiñ bikharne ke sabab
dard kī niilī rageñ ThanDī havā se ashk-rez
surḳh hotī rahtī haiñ aañsū nigalne ke sabab
dard kī niilī rageñ 'naināñ' samundar ban ga.iiñ
hijr kī rātoñ kā pahlā chāñd Dhalne ke sabab
Top Urdushayar.com