Farzana Nainan

usko ehsas ki KHushbu se riha karna tha

Farzana Nainan

us ko ehsās ḳhushbū se rihā karnā thā

phuul ko shāḳh se khilte judā karnā thā

pūchh bārish se vo hañste hue roī kyoñ hai

mausam us ne to nasha-bār zarā karnā thā

talḳh lamhe nahīñ dete haiñ kabhī pyāsoñ ko

saañs ke saath na zahrāb ravā karnā thā

kis qadar ġham hai ye shāmoñ ḳhunuk rañgīnī

mujh ko lau se kisī chehre pe ravā karnā thā

chāñd puurā thā use yuuñ bhī na takte shab bhar

yuuñ bhī yādoñ har ik zaḳhm harā karnā thā

donoñ samtoñ ko muḌnā thā muḳhālif jānib

saath apnā hameñ sheroñ meñ likhā karnā thā

karb se aa.ī hai naināñ meñ ye nīlāhaT bhī

dard niilī rageñ dil meñ rakhā karnā thā

Top Urdushayar.com