Iqbal Sajid

sang-dil hun is qadar aankhen bhigo sakta nahin

Iqbal Sajid

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1932-1988

sañg-dil huuñ is qadar āñkheñ bhigo saktā nahīñ

maiñ ki pathrīlī zamīñ meñ phuul bo saktā nahīñ

lag chuke haiñ dāmanoñ par jitne rusvā.ī ke daaġh

in ko aañsū kyā samundar tak bhī dho saktā nahīñ

ek do dukh hoñ to phir un se karūñ jī-bhar ke pyaar

sab ko siine se lagā luuñ ye to ho saktā nahīñ

terī barbādī pe ab aañsū bahā.ūñ kis liye

maiñ to ḳhud apnī tabāhī par bhī ro saktā nahīñ

jis ne samjhā ho hamesha dostī ko kārobār

dosto vo to kisī dost ho saktā nahīñ

ḳhvāhishoñ nazr kar duuñ kis liye anmol ashk

kachche dhāgoñ meñ koī motī piro saktā nahīñ

maiñ tire dar bhikārī mire dar faqīr

aadmī is daur meñ ḳhuddār ho saktā nahīñ

mujh ko itnā bhī nahīñ hai surḳh-rū hone shauq

be-sabab taaza lahū fasl bo saktā nahīñ

yaad ke sho.aloñ pe jaltā hai agar merā badan

oḌh kar phūloñ chādar bhī so saktā nahīñ

haath jis se kuchh na aa.e us ḳhvāhish kyuuñ karūñ

duudh mānind maiñ paanī bilo saktā nahīñ

Top Urdushayar.com