dhuup  chhāñv  zehnoñ  kā  aasrā  nahīñ  rakhte
ham  ġharaz  ke  bandoñ  se  vāsta  nahīñ  rakhte
zo.am-e-pārsā.ī  meñ  kab  ḳhayāl  hai  un  ko
tanz  to  vo  karte  haiñ  aa.ina  nahīñ  rakhte
sāzisheñ  alāmat  to  past  himmatī  kī  haiñ
sāzisheñ  jo  karte  haiñ  hausla  nahīñ  rakhte
vo  ġhurūr-e-taqvā  meñ  bas  yahī  samajhte  haiñ
jaise  hai  ḳhudā  un  kā  ham  ḳhudā  nahīñ  rakhte
tum  havas-parastoñ  ke  saiñkaḌoñ  ḳhudā  Thahre
ek  hai  ḳhudā  apnā  dūsrā  nahīñ  rakhte
kis  tarah  munavvar  ho  ḳhāna-e-shu.ūr  'anjum'
zehn  ke  darīchoñ  ko  tum  khulā  nahīñ  rakhte