kyā  jāniye  kyā  hai  had-e-idrāk  se  aage
bas  ḳhaak  hai  is  terī  mirī  ḳhaak  se  aage
hai  shor-e-fuġhāñ  ḳhāmushī-e-marg  ke  pīchhe
ik  tez  havā  hai  ḳhas-o-ḳhāshāk  se  aage
ham  dekhte  haiñ  aañkh  meñ  sahme  hue  aañsū
ik  chup  hai  kahīñ  ḳhanda-e-be-bāk  se  aage
ik  rañg  sā  hai  rañg-e-tamannā  se  mumāsil
ik  abr  sā  hai  dīda-e-nam-nāk  se  aage
maiñ  apne  kisī  ḳhvāb  kī  muñh-zor  havā  meñ
aksar  hī  nikal  jaatā  huuñ  aflāk  se  aage
kyā  shor  kareñ  girya-e-usshāq  se  baḌh  kar
kyā  zor  kareñ  pairhan-e-chāk  se  aage