Iqbal Sajid

mund kar aankhen talash-e-bahr-o-bar karne lage

Iqbal Sajid

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1932-1988

muuñd kar āñkheñ talāsh-e-bahr-o-bar karne lage

log apnī zaat ke andar safar karne lage

māñjhiyoñ ke giit sun kar aa gayā dariyā ko josh

sāhiloñ pe raqs tezī se bhañvar karne lage

baḌh gayā hai is qadar ab surḳh-rū hone shauq

log apne ḳhuun se jismoñ ko tar karne lage

bāñdh de shāḳhoñ se miTTī ke phal kāġhaz ke phuul

ye taqāzā raah meñ ujḌe shajar karne lage

gaañv meñ kachche gharoñ qīmateñ baḌhne lagīñ

shahr se naql-e-makānī ahl-e-zar karne lage

jaise har chehre āñkheñ sar ke pīchhe aa lagīñ

sab ke sab ulTe qadmoñ se safar karne lage

ab paḌhe-likkhe bhī 'sājid' aa ke bekārī se tañg

shab ko dīvāroñ pe chaspāñ poster karne lage

Top Urdushayar.com