qisse  se  tire  merī  kahānī  se  ziyāda
paanī  meñ  hai  kyā  aur  bhī  paanī  se  ziyāda
is  ḳhaak  meñ  pinhāñ  hai  koī  ḳhvāb-e-musalsal
hai  jis  meñ  kashish  ālam-e-fānī  se  ziyāda
naḳhl-e-gul-e-hastī  ke  gul-o-barg  ajab  haiñ
uḌte  haiñ  ye  aurāq-e-ḳhizānī  se  ziyāda
har  ruḳh  hai  kahīñ  apne  ḳhad-o-ḳhāl  se  bāhar
har  lafz  hai  kuchh  apne  ma.ānī  se  ziyāda
vo  husn  hai  kuchh  husn  ke  āzār  se  baḌh  kar
vo  rañg  hai  kuchh  apnī  nishānī  se  ziyāda
ham  paas  se  tere  kahāñ  uTh  aa.e  haiñ  ye  dekh
ab  aur  ho  kyā  naql-e-makānī  se  ziyāda
is  shab  meñ  ho  girya  koī  tārīkī  se  gahrā
ho  koī  mahak  rāt-kī-rānī  se  ziyāda
ham  kunj-e-tamannā  meñ  raheñge  ki  abhī  tak
hai  yaad  tirī  yād-dahānī  se  ziyāda
ab  aisā  zubūñ  bhī  to  nahīñ  haal  hamārā
hai  zaḳhm  ayaañ  dard-e-nihānī  se  ziyāda