Abrar Ahmad

rah dushwar bhi hai be-sar-o-samani bhi

Abrar Ahmad

Jaranwala, Punjab, Pakistan

1954
raah dushvār bhī hai be-sar-o-sāmānī bhī
aur is dil ko hai kuchh aur pareshānī bhī
ye jo manzar tire aage se saraktā hī nahīñ
is meñ shāmil hai tirī aañkh kī hairānī bhī
apne majbūr pe kuchh aur karam ho ki use
kam paḌī jaatī hai ab ġham kī farāvānī bhī
sirf afsos kā saaya hī nahīñ hai ham par
ham ki haiñ ḳhvāb-e-tab-o-tāb ke zindānī bhī
be-niyāzī kī vo ḳhū jaise kabhī thī hī nahīñ
ḳhvāb the jaise vo ayyām-e-tan-āsānī bhī
rah tirī chhoḌ ke kyuuñ jānib-e-duniyā aa.e
ham ko jiine nahīñ detī ye pashemānī bhī
Top Urdushayar.com