tujh  se  vābastagī  rahegī  abhī
dil  ko  ye  bekalī  rahegī  abhī
sar  ko  dīvār  hī  nahīñ  miltī
so  ye  dīvāngī  rahegī  abhī
koī  din  fursat-e-tamannā  hai
koī  din  sar  ḳhushī  rahegī  abhī
kāsa-e-umr  bhar  chukā  phir  bhī
kahīñ  koī  kamī  rahegī  abhī
shab  vahī  hai  jamāl-e-ḳhvāb  vahī
aañkh  apnī  lagī  rahegī  abhī
jis  qayāmat  kī  aamad  aamad  hai
vo  qayāmat  Talī  rahegī  abhī
ham  yaqīnan  yahāñ  nahīñ  hoñge
ġhāliban  zindagī  rahegī  abhī
kuchh  abhī  ranj-e-ārzū  hai  hameñ
aañkh  meñ  kuchh  namī  rahegī  abhī
tū  abhī  mubtalā-e-duniyā  nahīñ
tujh  meñ  ye  sādgī  rahegī  abhī
lā-ta.alluq  huuñ  us  ta.alluq  se
aur  ye  dostī  rahegī  abhī
jī  uchaTtā  nahīñ  hai  lagtā  nahīñ
so  ye  begānagī  rahegī  abhī
kahīñ  koī  charāġh  jaltā  hai
kuchh  na  kuchh  raushnī  rahegī  abhī