hameñ  ḳhabar  nahīñ  kuchh  kaun  hai  kahāñ  koī  hai
hamesha  shaad  ho  ābād  ho  jahāñ  koī  hai
jagah  na  chhoḌe  ki  sail-e-balā  hai  tez  bahut
uḌā  paḌā  hī  rahe  ab  jahāñ  tahāñ  koī  hai
fishār-e-girya  kisī  taur  be-maqām  nahīñ
dayār-e-ġham  hai  kahīñ  par  pas-e-fuġhāñ  koī  hai
vo  koī  ḳhadsha  hai  yā  vahm-e-ḳhvāb  hai  ki  ḳhayāl
ki  ho  na  ho  mire  dil  apne  darmiyāñ  koī  hai
kabhī  to  aisā  hai  jaise  kahīñ  pe  kuchh  bhī  nahīñ
kabhī  ye  lagtā  hai  jaise  yahāñ  vahāñ  koī  hai
kabhī  kabhī  to  ye  lagtā  hai  fard  fard  haiñ  ham
ye  aur  baat  hamārā  bhī  kārvāñ  koī  hai
kahīñ  pahuñchnā  nahīñ  hai  use  magar  phir  bhī
misāl-e-bād-e-bahārāñ  ravāñ-davāñ  koī  hai
huā  hai  apne  safar  se  hazar  se  begāna
vahīñ  vahīñ  pe  nahīñ  hai  jahāñ  jahāñ  koī  hai
chhalak  jo  uThtī  hai  ye  aañkh  fart-e-vasl  meñ  bhī
to  sarḳhushī  meñ  abhī  ranj-e-rā.egāñ  koī  hai
shikast-e-dil  hai  to  kyā  rāh-e-ishq  tark  na  kar
ye  dekh  kyā  kahīñ  parvarda-e-ziyāñ  koī  hai
ab  us  nigāh-e-fusūñ-kār  kā  qusūr  hai  kyā
hameñ  dikhāo  agar  zaḳhm  kā  nishāñ  koī  hai
kahīñ  pe  aaj  bhī  vo  ghar  hai  hañstā  bastā  huā
ye  vahm  sā  hai  tire  dil  ko  yā  gumāñ  koī  hai
javār-e-qarya-e-yārāñ  meñ  jā  nikaltā  huuñ
ki  jaise  ab  bhī  vahīñ  merā  mehrbāñ  koī  hai