ik  umr  mah-o-sāl  kī  Thokar  meñ  rahā  huuñ
maiñ  sañg  sahī  phir  bhī  sar-e-rāh-e-vafā  huuñ
aap  apne  hī  nā-karda  gunāhoñ  kī  sazā  huuñ
āvāz  huuñ  lekin  tire  hoñToñ  se  judā  huuñ
kyā  kam  hai  ki  rusvā-e-jahāñ  huuñ  tirī  ḳhātir
maiñ  daaġh  huuñ  lekin  tire  māthe  pe  sajā  huuñ
paanī  meñ  nazar  aatī  hai  ik  chāñd  sī  sūrat
pyāsā  huuñ  magar  der  se  dariyā  pe  khaḌā  huuñ
ik  tū  hī  nahīñ  aur  bhī  ḳhūbān-e-jahāñ  haiñ
tujh  ko  nahīñ  paayā  hai  to  auroñ  se  milā  huuñ
sab  des  mire  des  haiñ  sab  log  mire  log
kyā  jāniye  maiñ  kaun  sī  miTTī  kā  banā  huuñ