ham  dasht  se  har  shaam  yahī  soch  ke  ghar  aa.e
shāyad  ki  kisī  shab  tire  aane  kī  ḳhabar  aa.e
mālūm  kise  shahr-e-tilismāt  kā  rasta
kuchh  duur  mire  saath  to  mahtāb-e-safar  aa.e
is  phuul  se  chehre  kī  talab  rāhat-e-jāñ  hai
pheñke  koī  patthar  bhī  to  ehsāñ  mire  sar  aa.e
tā  phir  na  mujhe  tīra-nasībī  kā  gilā  ho
ye  sub.h  kā  sūraj  mirī  āñkhoñ  meñ  utar  aa.e
ab  aage  alam  aur  koī  hāthoñ  se  le  le
ham  shab  ke  musāfir  the  chale  tā-ba-sahar  aa.e