chalte  chalte  ruk  jaatā  hai
dīvāna  kuchh  soch  rahā  hai
is  jañgal  kā  ek  hī  rasta
jis  par  jaadū  kā  pahrā  hai
duur  ghane  peḌoñ  kā  manzar
mujh  ko  āvāzeñ  detā  hai
dam  luuñ  yā  aage  baḌh  jā.ūñ
sar  par  bādal  kā  saayā  hai
us  zālim  kī  āñkheñ  nam  haiñ
patthar  se  paanī  ristā  hai
bhīgā  bhīgā  sub.h  kā  āñchal
raat  bahut  paanī  barsā  hai