āñkhoñ  kī  nadī  suukh  ga.ī  phir  bhī  harā  hai
vo  dard  kā  paudā  jo  mire  dil  meñ  ugā  hai
jaañ  de  ke  bhī  chāhūñ  to  use  pā  na  sakūñ  maiñ
vo  chāñd  kā  TukḌā  jo  darīche  meñ  jaḌā  hai
sailāb  haiñ  chehroñ  ke  to  āvāz  ke  dariyā
ye  shahr-e-tamannā  to  nahīñ  dasht-e-sadā  hai
'asġhar'  ye  safar  shauq  kā  ab  kaise  kaTegā
jo  ham  ne  tarāshā  thā  vo  but  TuuT  gayā  hai