Waseem Minai

ye jal jate hain lab tak aah bhi aane nahin dete

Waseem Minai

ye jal jaate haiñ lab tak aah bhī aane nahīñ dete
madad ke vāste āvāz parvāne nahīñ dete
kahīñ par zikr un kā bhī na aa jaa.e isī Dar se
vo rūdād-e-mohabbat ham ko dohrāne nahīñ dete
mire bachche bhī merī hī tarah ḳhuddār haiñ shāyad
ḳhayāl-e-muflisī mujh ko kabhī aane nahīñ dete
chale ho mai-kasho piine magar tum hosh mat khonā
kisī ko rāsta ghar kā ye maiḳhāne nahīñ dete
vo jis ke husn kī tārīḳh tum ne ḳhud hī likkhī thī
vahī tasvīr kyuuñ duniyā ko dikhlāne nahīñ dete
'vasīm' ansār ne aise sitam Dhaa.e muhājir par
ki ham hijrat kā lab par naam bhī aane nahīñ dete
Top Urdushayar.com