jaane  kyuuñ  bhaa.ī  kā  bhaa.ī  khul  ke  dushman  ho  gayā
ghar  meñ  dīvāreñ  uThānā  ab  to  fashion  ho  gayā
ek  muflis  ko  saḌak  par  gāliyāñ  dene  ke  ba.ad
vo  samajhtā  hai  hamārā  naam  raushan  ho  gayā
aaj  to  aa.e  hameñ  kis  kī  qayādat  par  yaqīñ
kal  jo  apnā  rahnumā  thā  aaj  rahzan  ho  gayā
dekh  kar  bachchoñ  ko  bhī  ab  yaad  aatā  hī  nahīñ
mahv  kuchh  aisā  hamāre  dil  se  bachpan  ho  gayā
chhāte  chhāte  chhā  ga.ī  fasl-e-bahārāñ  par  ḳhizāñ
dekhte  hī  dekhte  pāmāl  gulshan  ho  gayā
maiñ  ne  to  haq  baat  hī  muñh  se  nikālī  thī  'vasīm'
jaane  kyuuñ  saarā  zamāna  merā  dushman  ho  gayā