Dar  maut  kā  na  ḳhauf  kisī  devtā  kā  thā
vo  fat.h-yāb  yuuñ  thā  ki  banda  ḳhudā  kā  thā
pahle  bhī  hādsāt  hue  zindagī  ke  saath
lekin  jo  aaj  dekhā  vo  manzar  balā  kā  thā
lo  vo  bhī  gir  gayā  mire  āñgan  kā  peḌ  aaj
har  vaqt  jis  se  aasrā  taaza  havā  kā  thā
sun  kar  jise  pahāḌoñ  ke  siine  dahal  ga.e
ye  bhī  karishma  dosto  apnī  sadā  kā  thā
tūfāñ  se  bach  nikalne  kī  sūrat  na  thī  koī
ye  faiz  merī  maañ  ke  hī  dast-e-duā  kā  thā
tum  bhī  bhulā  do  tark-e-ta.alluq  kā  vāqi.a
ham  bhī  ye  soch  leñge  ki  jhoñkā  havā  kā  thā
sāhil  pe  lā  ke  aap  safīne  jalā  diye
ye  kaam  bhī  'vasīm'  hamārī  anā  kā  thā