dil  lagā  lete  haiñ  ahl-e-dil  vatan  koī  bhī  ho
phuul  ko  khilne  se  matlab  hai  chaman  koī  bhī  ho
sūrat-e-hālāt  hī  par  baat  karnī  hai  agar
phir  muḳhātab  ho  koī  bhī  anjuman  koī  bhī  ho
hai  vahī  lā-hāsilī  dast-e-hunar  kī  muntazir
āḳhirash  sar  phoḌtā  hai  kohkan  koī  bhī  ho
shā.erī  meñ  aaj  bhī  miltā  hai  'nāsir'  kā  nishāñ
DhūñDte  haiñ  ham  use  bazm-e-suḳhan  koī  bhī  ho
ādateñ  aur  hājateñ  'bāsir'  badaltī  haiñ  kahāñ
raqs  bin  rahtā  nahīñ  tā.ūs  ban  koī  bhī  ho