hāl-e-marg-e-be-kasī  sun  kar  asar  koī  na  ho
sach  to  ye  hai  aap  sā  bhī  be-ḳhabar  koī  na  ho
haa.e  dushman  dekheñ  un  ke  uThte  jauban  kī  bahār
haa.e  maiñ  koī  na  huuñ  merī  nazar  koī  na  ho
is  tamannā  par  kaTe  marte  haiñ  mushtaqān-e-qatl
yaar  par  qurbān  ham  se  peshtar  koī  na  ho
vo  qayāmat  kī  ghaḌī  hai  tālib-e-dīdār  par
jab  uThe  pardā  to  parde  ke  udhar  koī  na  ho
ishq  meñ  be-tābiyāñ  hotī  haiñ  lekin  ai  'hasan'
jis  qadar  bechain  tum  ho  us  qadar  koī  na  ho