husn  jab  maqtal  kī  jānib  teġh-e-burrāñ  le  chalā
ishq  apne  mujrmoñ  ko  pā-ba-jaulāñ  le  chalā
ārzū-e-dīd-e-jānāñ  bazm  meñ  laa.ī  mujhe
bazm  se  maiñ  ārzū-e-dīd-e-jānāñ  le  chalā
bismiloñ  ko  zaḳhm  zaḳhmoñ  ko  mubārak  lazzateñ
sū-e-maqtal  phir  koī  teġh-o-namak-dāñ  le  chalā
ḳhūn-e-nāhaq  kī  hayā  bolī  zarā  muñh  Dhāñk  lo
naaz  jab  un  ko  sar-e-ḳhāk-e-shahīdāñ  le  chalā
kaT  gayā  āshiq  sar-e-bāzār  saudā  bik  gayā
jān-e-lailā  ishq  ne  dil  husn-e-ḳhūbāñ  le  chalā
ḳhāk-e-āshiq  rokne  ko  duur  tak  lipTī  ga.ī
jab  samand-e-nāz  ko  vo  garm-jaulāñ  le  chalā
mere  ghar  tak  paañv  paḌ  kar  un  ko  laayā  thā  niyāz
naaz  dāman  khīñchtā  sū-e-raqībāñ  le  chalā
dil  ko  jānāñ  se  'hasan'  samjhā-bujhā  ke  laa.e  the
dil  hameñ  samjhā-bujhā  kar  sū-e-jānāñ  le  chalā