dekhe  agar  ye  garmi-e-bāzār  āftāb
sar  bech  kar  ho  terā  ḳharīdār  āftāb
vo  husn-e-ḳhud-farosh  agar  be-naqāb  ho
mahtāb  mushtarī  ho  ḳharīdār  āftāb
poshīda  gesuoñ  meñ  huā  rū-epur-ziyā
hai  aaj  mehmān-e-shab-e-tār  āftāb
us  kī  tajalliyoñ  se  kare  kaun  ham-sarī
ho  jis  ke  naqsh-e-pā  se  numūdār  āftāb
ahbāb  ko  'hasan'  vo  chamaktī  ġhazal  sunā
har  lafz  se  ho  jis  ke  numūdār  āftāb