mil  gayā  dil  nikal  gayā  matlab
aap  ko  ab  kisī  se  kiyā  matlab
husn  kā  ro.ab  zabt  kī  garmī
dil  meñ  ghuT  ghuT  ke  rah  gayā  matlab
na  sahī  ishq  dukh  sahī  nāseh
tujh  ko  kyā  kaam  tujh  ko  kyā  matlab
muzhda  ai  dil  ki  nīm-jāñ  huuñ  maiñ
ab  to  puurā  huā  tirā  matlab
apne  matlab  ke  āshnā  ho  tum
sach  hai  tum  ko  kisī  se  kyā  matlab
ātish-e-shauq  aur  bhaḌkī  hai
muñh  chhupāne  kā  khul  gayā  matlab
kuchh  hai  matlab  to  dil  se  matlab  hai
matlab-e-dil  se  un  ko  kyā  matlab
un  kī  bāteñ  haiñ  kitnī  pahlū-dār
sab  samajh  leñ  judā  judā  matlab
us  ko  ghar  se  nikāl  kar  ḳhush  ho
kyā  'hasan'  thā  raqīb  kā  matlab