rāz-e-dil  laate  haiñ  zabāñ  tak  ham
dukh  bhareñ  ai  ḳhudā  kahāñ  tak  ham
aur  vo  ham  se  khiñchte  jaate  haiñ
minnateñ  karte  haiñ  jahāñ  tak  ham
na  uḌā  bāġhbāñ  ki  gulshan-e-dil
aur  haiñ  āmad-e-ḳhizāñ  tak  ham
aap  ke  lutf  ne  to  qahr  kiyā
ḳhuub  the  jaur-e-āsmāñ  tak  ham
āsmāñ  tak  gayā  hai  sail-e-sarishk
dil  ko  royā  kareñ  kahāñ  tak  ham
un  kā  aanā  bhī  ab  nahīñ  manzūr
jaan  se  tañg  haiñ  yahāñ  tak  ham
terā  paiġhām  bhī  sunā  deñge
ai  'hasan'  pahuñcheñ  to  vahāñ  tak  ham