Hasan Barelvi

kaha jab tum se chaara dard-e-dil ka ho nahin sakta

Hasan Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1859-1908
kahā jab tum se chāra dard-e-dil kā ho nahīñ saktā
to jhunjhlā kar kahā terā kalejā ho nahīñ saktā
vo apnī zid ke puure haT ke puure aan ke puure
faqat itnī kamī hai qaul puurā ho nahīñ saktā
kahāñ kī chāra-farmā.ī ayādat tak nahīñ karte
masīhā.ī pe marte haiñ aur itnā ho nahīñ saktā
sar-e-tūr un ke jalve ne pukārā ḳhud-numā ho kar
ki apne chāhne vaale se pardā ho nahīñ saktā
kahā jab un se merī zindagī tum ho kahā hañs kar
maiñ samjhā ab tumheñ merā bharosā ho nahīñ saktā
mirā ghar ġhair kā ghar to nahīñ kyūñ-kar vo khul kheleñ
nigāheñ uTh nahīñ saktīñ ishārā ho nahīñ saktā
'sharaf' aur 'rashk' ke kahne se kuchh tuk-bandiyāñ kar liiñ
'hasan' afkār meñ ham se do-ġhazlā ho nahīñ saktā
Top Urdushayar.com