kahā  jab  tum  se  chāra  dard-e-dil  kā  ho  nahīñ  saktā
to  jhunjhlā  kar  kahā  terā  kalejā  ho  nahīñ  saktā
vo  apnī  zid  ke  puure  haT  ke  puure  aan  ke  puure
faqat  itnī  kamī  hai  qaul  puurā  ho  nahīñ  saktā
kahāñ  kī  chāra-farmā.ī  ayādat  tak  nahīñ  karte
masīhā.ī  pe  marte  haiñ  aur  itnā  ho  nahīñ  saktā
sar-e-tūr  un  ke  jalve  ne  pukārā  ḳhud-numā  ho  kar
ki  apne  chāhne  vaale  se  pardā  ho  nahīñ  saktā
kahā  jab  un  se  merī  zindagī  tum  ho  kahā  hañs  kar
maiñ  samjhā  ab  tumheñ  merā  bharosā  ho  nahīñ  saktā
mirā  ghar  ġhair  kā  ghar  to  nahīñ  kyūñ-kar  vo  khul  kheleñ
nigāheñ  uTh  nahīñ  saktīñ  ishārā  ho  nahīñ  saktā
'sharaf'  aur  'rashk'  ke  kahne  se  kuchh  tuk-bandiyāñ  kar  liiñ
'hasan'  afkār  meñ  ham  se  do-ġhazlā  ho  nahīñ  saktā