mire  marne  se  tum  ko  fikr  ai  dildār  kaisī  hai
tumhārī  dil-lagī  ko  mahfil-e-aġhyār  kaisī  hai
hamāre  ghar  se  jaanā  muskurā  kar  phir  ye  farmānā
tumheñ  merī  qasam  dekho  mirī  raftār  kaisī  hai
vo  mujh  se  pūchhte  haiñ  ġhair  se  aur  tum  se  kyuuñ  bigḌī
zarā  ham  bhī  suneñ  aapas  meñ  ye  takrār  kaisī  hai
ma.āz-allāh  barq-e-husn  kis  kī  āñkheñ  uThne  de
tamāshā.ī  nahīñ  vāqif  ki  shakl-e-yār  kaisī  hai
'hasan'  jām-e-mai-e-gul-rañg  le  kar  sochte  kyā  ho
agar  qīmat  nahīñ  qīmat  meñ  ye  dastār  kaisī  hai